Thursday, April 28, 2011

Dub Jaane De


Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De
Tera Mujrim Hoon, Mujhe Dub Ke Mar Jaane De
Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko
Sochta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De…
`
Aarzoo jhooth hai,
Aarzoo ka fareb khana nahi ..
Khush jo rahna ho zindagi me tumhe..
Dil kabhi kisi se lagana nahi.
`
Ek pal mein jo aa kar gujar jaaye
yeh hawa ka woh jhoka hai ..aur kuch nahi
Pyar kehti hai duniya jise,
ek rangeen dhokha hai .. aur kuch nahi..
`
Asmaan bhi baras raha hai,
Mere Ashko se takra raha hai,
Kisme hai jor jyada shayad yeh dekh raha hai,
Barsaat to phir bhi ruk jayegi,
Mere Ashko ka koi anth nahi,
Dil me hai dard itne jiska koi hisaab nahi…
`
Ya Jaan maaf karna tere is gunehgaar  ko,
Jo tumhari chamatkaar me dakhil hota hai,
Sirf ye poochne ke liye aaya hu mein,
Ke kyun har raat tanhai mein mera dil rota hai…


Thursday, April 21, 2011

Miss u






Kajal banke teri aankho mein samane ki tamanna hai,
Dawa banke tere dard mitane ki tamanna hai,
Yun to haasil hai zamane ki har cheez mujhe,
Sirf ek baar tujhe apna banane ki tamanna hai.
`
Tujhse bahut pyaar karte hai,
Tera har pal intejar karte hai,
Jahan mein Jiski na koi missal hai,
Tu gulabon mein ek khas gulab hai.
`
Har kadam pe aapka ehsaas chahiye,
Mujhe aapka saath apne paas chahiye,
Khuda bhi ro pade hamari judai se,
Aisa ek rista khaas chahiye.
`
Muskaan aapke hoton se kahin jaye na,
Ansoo aapki palkon pe kabhi aye na,
Poora ho aapka har khaab,
Aur jo poora na ho wo khaab kabhi aye na.
`
Hum tumhe pyaar karte hai itna,
Tumko kya pata kitna,
Baarish agar hoti hai bahar,
Such kaheta hoon, dekhlo paani ki boond hai jitna…

Monday, April 18, 2011

hanuman chalisa

HANUMAN JAYANTI KI HARDIK SHUBHKAMNAYE


Sunday, April 17, 2011

Thursday, April 14, 2011

Aisey Na Mujay Tum Daikho

Tum Se

1,
Do Baatein Tum Se Ki Dil Ka Dard Kam Ho Gaya
Logon Ne Pucha Aaj Tumhe Kya Ho Gaya
Hum Bekarar Aankho Se Sirf Hans Paye
Ye Na Kah Paaye Ki Hame Tuse Pyar Ho Gaya






2,
Aye Meri Zindagi Ke Humsafar
Meri Dhadkano Mein Rawani Tum Se Hai

Teri Har Khushi Se Khushi Hai Meri
Aur Ankhon Mein Pani Tum Se Hai

Main Pal Pal Tadapti Hoon Tere Liye
Meri Yeh Zindagani Tum Se Hai

Main Har Baat Sauchti Hoon Tere Liye Hi
Mere Jazbaat-E -Ruhani Tum Se Hai

Mera Naseeb Hai Ke Tum Mil Gaye Mujhe
Yeh Kudrat Ki Mehrbani Tum Se Hai

Main Tere Hi Pyar Mein Pagal Hoon
Meri Har Ada Diwani Tum Se Hai

Meri Har Subah Tere Naam Se Hoti Hai
Meri Har Sham Diwani Tum Se Hai

Tum Ek Umar Ki Baat Karte Ho
Mere To Har Janam Ki Kahani Tum Se Hai

Wednesday, April 13, 2011

Tumne muskurana sikha diya

Kisi ne apna bana ke mujhko
muskurana sikha diya.
Andhere ghar me kisi ne
has ke chirag jaise jala diya.
Sharm ke mare me kuch na bola,
nazar ne parda gira diya,
Magar wo sab kuch samajh gaye hai,
ke dil bhi maine gawa diya.
Na pyar dekha na pyar jana,
suna tha lekin kahaniya
Jo khwab rato me bhi na aaya,
wo mujhko din me dhika diya.
Wo rang bharte hai zindagi me,
badal raha hai mera jahan.
Koi sitare luta raha tha,
kisi ne daman bigha diya.
Kisi ne apna bana ke mujhko
muskurana sikha diya.

Tuesday, April 12, 2011

Sai Ram Sai Shyam

Ram Navami Ki Hardik Shubh Kamnaye


        Ram Navami Ki Hardik Shubh Kamnaye



Monday, April 11, 2011

Sunday, April 10, 2011

Kis ka Chehra

Saturday, April 9, 2011

Friday, April 8, 2011

Intjar



Zeher - Agar tum mil jao

Wednesday, April 6, 2011

Miss U


Badi takleef me tha, aa fasi thi jaan sansat me
kaha usne tha jab mai jaa raha tha raaste apne
kaleja kaap utha tha nazar bhar bhar k aayi thi
mere kadmo k neeche na rahe the paav khud apne
kami kuch thi nahi paayi, mili fir bhi ye rusvaai
yu aise hi achanak se bhala, toote hain kyu sapne
Hindi Shayari
baharo se utha k patjhar me laa patka mujhe tumne
mere dil ka tamasha kar k man behlaya khud tumne
kabhi socha na tha ye aag apna ghar jala degi
ye dil k khel me aafat khudi ko khud kari humne..

Tuesday, April 5, 2011

Monday, April 4, 2011

Saturday, April 2, 2011

intezaar




intezaar
Murjha gaye phool par bahar wohi hai,
Door rehte ho par pyaar wohi hai,
Jante hai hum mil nahin pa rahe hai aapse,Magar in aankhon mein intezaar wohi hai.

Khvaab
raat ke Khvaab sunaye kis ko,
raat ke Khvaab suhane the.dhundhle dhundhle chehre the,
par sab jane pahchane the.ham ko sari raat jagaya,
jalte bujhate taaro ne.ham kyu un ke dar pe utare,
kitane aur Thikaane the.

Friday, April 1, 2011