Wednesday, April 13, 2011

Tumne muskurana sikha diya

Kisi ne apna bana ke mujhko
muskurana sikha diya.
Andhere ghar me kisi ne
has ke chirag jaise jala diya.
Sharm ke mare me kuch na bola,
nazar ne parda gira diya,
Magar wo sab kuch samajh gaye hai,
ke dil bhi maine gawa diya.
Na pyar dekha na pyar jana,
suna tha lekin kahaniya
Jo khwab rato me bhi na aaya,
wo mujhko din me dhika diya.
Wo rang bharte hai zindagi me,
badal raha hai mera jahan.
Koi sitare luta raha tha,
kisi ne daman bigha diya.
Kisi ne apna bana ke mujhko
muskurana sikha diya.

No comments:

Post a Comment